Thursday, April 23, 2009

Koshish Karne walon ki haar nahi hoti


lehron se dar kar nauka paar nahi hoti
Koshish karne walon ki haar nahi hoti....
nannhi cheenti jab dana lekar chalti hai
chad hti deewaron par sau baar fisalti hai
mann ka vishwas ragon mein sahas bharta hai
chad kar girna, gir kar chadna, na akharta hai
aakhir uski mehnat bekar nahi hoti
koshish karne waalon ki haar nahi hoti....
dubkiyan sindhu mein gota khor lagata hai
ja ja kar khali haath laut aata hai
milte na sehej hi moti pani mein
badhta dugna utsah issi heiraani mein
mutthi uski khali har baar nahi hoti
Koshish karne walon ki haar nahi hoti....
asafalta ek chunauti hai sweekar karo
kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo
jab tak na safal ho, neend chain ki tyago tum
sangharshon ka maidaan chhod mat bhago tum
kuch kiye bina hi jai jai kaar nahi hoti
Koshish karne walon ki haar nahi hoti
himmat karne walon ki haar nahi hoti....

~ Shri Harivansha Rai Bachchan

No comments:

Post a Comment